I watched Mr. Javed Akhtar recite this poem at St. Xavier's 8 years back and it was one of those inspiring moments...
Main jab bhi zindagi ki chilchilatee dhoop mein tapkar
Main jab bhi doosron ke aur apne jhooth se thak kar
Main sabse lad ke khud se haar ke
Jab bhi us ik kamre mein jaata tha
Wo halke aur gehre katthai rangon ka ik kamra
Wo behad meherbaan kamra
Jo apni narm mutthi mein mujhe aise chhupa leta tha
Jaise koi maan bachche ko aanchal mein chhupa le
Pyaar se daante,“Ye kya aadat hai, jalti dopahar mein maare maare ghoomte ho tum”
Wo kamra yaad aata hai..
Dabeez aur khaasa bhaarikuch zara mushkil se khulne waala (Dabeez=Hard)
wo sheesham ka darwaaza
Ki jaise koi akkhad baapapne khurdare seene meinshafqat ke samandar ko chuupaye ho (Shafqat = Tenderness)
Wo kursi,aur uske saath wo judwaan bahen uski
Wo dono dost thein meri Wo ik gustakh munhphat aaina,
jo dil ka achchha thaWo behangam si almari, (Behangam= Clumsy)
jo kone mein khadi ik boodhi anna ki tarahaaine ko tambeeh karti thee (tambeeh=scold)
Wo ik guldaan,nanha sa,bahut shaitan,un dono pe hansta tha Dareecha (dareecha=window)
ya zahanat se bhari ik muskurahat (zahanat=Knowing)
aur dareeche pe jhuki wo bel
Koi sabz sargoshi (sabz = green)(sargoshi = whisper)
Kitabeintaak mein aur shelf parsanjeeda ustaani bani baithein
Magar sab muntazir is baat ki main unse kuchh poochoon (muntazir = waiting)
Sirhaneneend ka saathi,
thakan ka charagarwo narm dil takiya
Main jiski god mein sir rakh kechhat ko dekhta tha
Chhat ki kadiyon mein na jane kitne afsanon ki kadiyaan thein
Wo chhoti mez paraur saamne deewar paraawezaan tasveerein
Mujhe apnaiyat aur yaqeen se dekhtein thein,muskuratein theinUnhein shak bhi nahi tha,ik dinmain unko aise chhod jaoonga
Main ik din yoon bhi jaoonga,ki phir wapas na aaoonga
Main ab jis ghar mein rehta hun, bahut hi khoobsoorat hai
Magar aksar yahan khamosh baitha yaad karta hoon
Wo kamra baat karta tha….!
Tuesday, July 24, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
wow!
nice blog!!! blogrolled u!
Post a Comment